shikast-e-ḳhurdgī ke baad hausla nahīñ huā
jo chūkā pahlā vaar hī to dūsrā nahīñ huā
kahā huā sunā huā likhā huā nahīñ huā
hamāre haq meñ to koī bhī faisla nahīñ huā
sukūt-e-lab kā vo sabab haiñ siskiyāñ vo hichkiyāñ
nigāh-e-ishq se faro vo hādisa nahīñ huā
tamām dil ke pārche bikhar chuke zamīn par
hisāb rakhne vaale kā muhāsba nahīñ huā
palaT ga.e tamāsh-bīñ ga.ī vo sho.abada-garī
thī guñg vo zabān jab kahā huā nahīñ huā
tumhāre naqsh-e-pā pe maiñ jo chal rahā huuñ der se
maiñ ḳhatm ho rahā to huuñ pa rāsta nahīñ huā