Abu Leveeza Ali

palaT jaana koi mushkil nahin tha

Abu Leveeza Ali

1981
palaT jaanā koī mushkil nahīñ thā
mirā hī vāpsī kā dil nahīñ thā
matā-e-zīst lā-hāsil nahīñ thā
vale paane ke maiñ qābil nahīñ thā
vo chhuriyāñ dhaar jis par ho rahīñ thiiñ
mirā hī dil thā koī sil nahīñ thā
khulā bāb-e-junūñ jab mujh pe yaaro
mirā tab koī mustaqbil nahīñ thā
marīz-e-ishq hone tak sunā hai
adhūrī zaat thā kāmil nahīñ thā
mujhe ġharqāb thā az-had zarūrī
vagarna ziist ke qābil nahīñ thā
maiñ pyāsā thā magar hoñToñ se mahrūm
samundar thā magar sāhil nahīñ thā
na do ilzām bhauñre ko 'alī' tum
vo hargiz phuul kā qātil nahīñ thā
Top Urdushayar.com