Farhat Nadir Rizwi

kuchh sukun paun jo is sahn-e-makan se chhuTun

Farhat Nadir Rizwi

Darbhanga, Bihar, India

1972
kuchh sukūñ pā.ūñ jo is sahn-e-makāñ se chhūTūñ
phir nayā ek safar ho maiñ jahāñ se chhūTūñ
saare ehsās se har sūd-o-ziyāñ se chhūTūñ
ho ke ḳhāmosh gunāhān-e-bayāñ se chhūTūñ
tund-ḳhū tāzī-e-be-bāk ḳhirāmāñ kī qasam
kaash raftār-o-ram-o-raḳhsh-e-ravāñ se chhūTūñ
muzmahil ho ke Thaharne nahīñ detī sur.at
kaash āzād ho tausan ki inaañ se chhūTūñ
zikr kuchh dil kā na kuchh baat tamannāoñ kī
ḳhushk āñkheñ hoñ maiñ īzā-e-fuġhāñ se chhūTūñ
raqs ho ātish-e-sayyāl kā aur ḳhaak huuñ maiñ
gardish-e-shām-o-sahar dahar-o-zamāñ se chhūTūñ
tā.er-e-rūh har ik gosha-e-jāñ dekhtā hai
jism se jaan se kis dar se kahāñ se chhūTūñ
chhūTūñ 'farhat' se aziyyat se sukūñ se ġham se
nā-tavānī se sahī tāb-o-tavāñ se chhūTūñ
Top Urdushayar.com