zarā sī raat aur itnā savāb kaafī hai
mirī nazar ko faqat terā ḳhvāb kaafī hai
maiñ chāhtī nahīñ mujh ko varaq varaq likh de
sar-varaq hai jo ik intisāb kaafī hai
maiñ kyā karūñgī ye itnī kahāniyāñ le kar
mire liye to faqat ik kitāb kaafī hai
maiñ apnī pyaas ko mahsūs kar ke jiitī huuñ
samundaroñ kī talab kyā sarāb kaafī hai
maiñ tujh se miltī huuñ 'farhat' to ḳhauf aatā hai
ki mujh pe terā purānā hisāb kaafī hai
nahīñ haiñ lafz mayassar to phir ta.assur bhej
kisī bhī shakl meñ ho ik javāb kaafī hai
ḳhayāl-e-yār kahāñ hai koī batā.e use
mire liye vahī ḳhāna-ḳharāb kaafī hai