Farhat Nadir Rizwi

sukun-e-zat waqf-e-intishaar kar liya gaya

Farhat Nadir Rizwi

Darbhanga, Bihar, India

1972

sukūn-e-zāt vaqf-e-intishār kar liyā gayā

ġhazab huā ki dil e'tibār kar liyā gayā

qadam qadam mile jo aable rah-e-hayāt meñ

to āñsuoñ ko misl-e-ābshār kar liyā gayā

umīd-e-sub.h-o-shām ġham ke darmiyāñ basar jo

to sā.atoñ ko dard meñ shumār kar liyā gayā

milā fareb-o-makr se bhī kab vo hiila jo magar

libās sādgī dāġh-dār kar liyā gayā

nakīr ne madad baḌī hisāb rakh ke mirī

gunah tamām umr be-shumār kar liyā gayā

zabān-o-jism-o-jān-o-dil gavāh sab jo ban ga.e

to jurm un se ho ke darkinār kar liyā gayā

gavāh adliya subūt hāshiyoñ pe aa ga.e

hikāyatoñ pe aise e'tibār kar liyā gayā

zabān-e-hāl muntaḳhab huī bayān-e-dard ko

vajūd aap apnā tār-tār kar liyā gayā

garāñ zamīn-e-kisht-e-ġham-e-jigar ko naqd adā

masarratoñ vahm thā udhār kar liyā gayā

jo ek jaam 'farhat'-e-hayāt umiid thā

sitam ye hai ki vo bhī kal pukār kar liyā gayā

Top Urdushayar.com