ye ġham kā rañg ye āb-e-malāl āñkhoñ meñ
azā kā jaise ho aks-e-hilāl āñkhoñ meñ
kabhī sarāb kabhī tishnagī kabhī sahrā
kabhī kabhī faqat āb-e-zulāl āñkhoñ meñ
nazar milā.ūñ to kaise vo le ke chaltā hai
bahut ajiib se kitne savāl āñkhoñ meñ
ab aa.ina bhī jo dekhūñ to apne chehre par
maiñ paḌhtī rahtī huuñ terā ḳhayāl āñkhoñ meñ
zarā sī der ko 'farhat' nazar nazar se milī
phir us ke ba.ad to jām-e-sifāl āñkhoñ meñ