Farhat Nadir Rizwi

riwaq-e-kahkashan se bhi ho aage tak guzar tera

Farhat Nadir Rizwi

Darbhanga, Bihar, India

1972
rivāq-e-kahkashāñ se bhī ho aage tak guzar terā
ki terā ishq hai manzil tirī azm-e-safar terā
ramīda vus.ateñ huuñ tundī-e-raftār se terī
barī ho tañgī-e-afkār se āhū-e-sar terā
zamāna Thahar kar pūchhe terī raftār-o-sur.at se
mujhe bhī saath letā chal irāda hai kidhar terā
hayāt muḳhtasar aur be-karānī sail-e-imkāñ kī
raqam hogā sar-e-aflāk qissa mo'atabar terā
kisī bahr-e-muhīt-e-be-karāñ kī aarzū meñ hai
ye tūfānoñ kī maujoñ meñ sañvarne kā hunar terā
miyān-e-āb-o-gil ik barq hai sho.ala hai shabnam hai
ye dil ye qatra-e-ḳhūñ ye vajūd-e-muḳhtasar terā
taḌap ki justujū kī raah meñ ye bhī ibādat hai
tirī har āh-e-sozāñ hai pyām-e-pur-asar terā
musāfir hai masāfat kā sila hai ābla-pā.ī
bhalā kab saath chhoḌegī ye gardish umr-bhar terā
jalan āñkhoñ meñ sūkhe lab ġhubār-e-zindagī ruḳh par
thakan kī dāstāñ kahtā hai huliya sar-ba-sar terā
kabhī rakh kar kisī zaanū pe sar ārām bhī kar lī
ghanī hai chhāñv kyuuñ khultā nahīñ band kamar terā
charāġh-e-ārzū kī lau bhaḌakne de abhī 'farhat'
vahī tanhā shab-e-furqat meñ hogā ham-safar terā
Top Urdushayar.com