Hatim Ali Mehr

Duboegi buto ye jism dariya-bar pani mein

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
Dubo.egī buto ye jism dariyā-bār paanī meñ
banegī mauj bhī mere liye zunnār paanī meñ
ġhubār-e-dīda-tar se takaddur dil kā zāhir hai
tamāsha hai uThī miTTī kī ik dīvār paanī meñ
tan-e-be-jāñ meñ jaañ aa.ī hai abrū ke ishāre se
bujhī thī chashma-e-haivāñ kī ye talvār paanī meñ
yahī ronā hai furqat meñ to jaañ āñkhoñ se niklegī
hai murġh-e-ābī uḌne ke liye tayyār paanī meñ
hameñ kyā ġhair ke khetoñ pe jo abr-e-karam barsā
na aa.ī apnī jānib to kabhī bauchhār paanī meñ
taḌaptā huuñ maiñ ro ro ke ḳhayāl-e-mus.haf-ruḳh meñ
ki ġhusl-e-irtimāsī karte haiñ dīñ-dār paanī meñ
mire rone pe vo hañste haiñ to aġhyār jalte haiñ
tilism-e-tāza hai bad-gil hue finnār paanī meñ
hue ġharq-e-araq jo sharm-e-isyāñ se vo paak uTThe
huā karte haiñ paidā gauhar-e-shahvār paanī meñ
na hogī ābrū-e-ārzī to jauhar-e-zātī
piyeñ sone kā paanī bhī agar zardār paanī meñ
jo tū ā.īna rakh kar sāmne zevar pahantā hai
tirī baalī kī machhlī tairtī hai yaar paanī meñ
sharāb-e-nāb hai ik qism kā paanī hai ai zāhid
abas kyuuñ hai tujhe ai nā samajh inkār paanī meñ
latīfuttab.a juz rāhat nahīñ dete kabhī iizā
nahīñ mumkin ki paidā ho chhurī kī dhaar paanī meñ
banā dete haiñ dam meñ saikḌoñ gumbad habāboñ ke
ḳhudā kī shaan rahte haiñ ajab me.amār paanī meñ
Top Urdushayar.com