Hatim Ali Mehr

aalam-e-hairat ka dekho ye tamasha ek aur

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
ālam-e-hairat kā dekho ye tamāshā ek aur
yaar ne ā.īne meñ apnā sā dekhā ek aur
marne vāloñ meñ rahā jaatā hai jiitā ek aur
nīm-bismil huuñ maiñ qātil haath puurā ek aur
rafta rafta dil ko dil se raah ho jaa.e kahīñ
un se milne kā rahe poshīda rasta ek aur
ek to missī kā naqsha jam rahā hai shaam se
paan kī laalī ne rañg apnā jamāyā ek aur
maiñ ne maanā aap ne bose diye maiñ ne liye
vo kahāñ niklī jo hai merī tamannā ek aur
yaad meñ ik shoḳh punjabi ke rote haiñ jo ham
āj-kal punjab meñ bahtā hai dariyā ek aur
un kā jhūmar dekh kar kahne lage ahl-e-zamīñ
dekh le ai āsmāñ aqd-e-surayyā ek aur
jīte-jī to dāman-e-sahrā kā ḳhil.at mil gayā
ba.ad marne ke mile un kā dupaTTa ek aur
bazm se saaqī ke ham se riñd nikle pāk-sāf
apnā ab ka.abe meñ pahuñchegā musallā ik aur
shā.irān-e-asr kī tujh ko to hai paiġhambarī
bū-salīmī bhī hue ai 'mehr' paidā ek aur
Top Urdushayar.com