Hatim Ali Mehr

dariya tufan bah raha hai

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
dariyā tūfān bah rahā hai
āñkhoñ kā ajiib mājrā hai
zāhid ko ġhurūr zohd kā hai
rindoñ ko ḳhudā kā aasrā hai
zikr un ke dahan kā jā-ba-jā hai
hai kuchh bhī nahīñ ye baat kyā hai
dīvār kā un kī saaya Thahrā
ik ye bhī sa.ādat-e-humā hai
ham-chashmī aur un kī añkhḌiyoñ se
nargis tujhe kuchh bhī sūjhtā hai
paañv ke hamāre go kharosī
ik ik kāñTā khaTak gayā hai
ulfat hai khulī huī butoñ se
allāh se 'mehr' kyā chhupā hai
Top Urdushayar.com