Hatim Ali Mehr

warid koh-e-bayaban jab mein diwana hua

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
vārid koh-e-bayābāñ jab meñ dīvāna huā
kohkan se dostī majnūñ se yārāna huā
vahshat-afzā kis qadar apnā bhī afsāna huā
merā qissa sunte sunte qais dīvāna huā
ḳhār-e-sahrā par ḳhirāmāñ jab maiñ dīvāna huā
ḳhūn-e-pā se rashk-e-pā.eñ baaġh vīrāna huā
aañkh nargis se laḌā kar āshnā hī andalīb
ai gul-e-tar ek maiñ aur sabza begāna huā
pahniye kafnī qanā.at hai libās faqīr meñ
kab tabdīl us ko shakl raḳht-e-shāhāna huā
kal vahāñ par hovegā gor-e-ġharībāñ kā maqām
aaj jis jā par banā qasr-e-amīrāna huā
bai.at-e-daste-subū kā pas pyālā pī liyā
taak kā shajara milā mashrab bhī rindāna huā
sham-e-kaukal dekhte hī anjuman meñ phaTak gayā
ik jale tan āshiqoñ meñ ham sā parvāna huā
Tal ga.ī sar se balā apnā muqaddar khul gayā
mū-e-sar meñ aaj dast-e-yār kā shāna huā
ab kahīñ koī Thikāna hī nahīñ juz kū-e-yār
murtad-e-ka.aba huā mardūd-e-but-ḳhāna huā
jām-e-kausar sāqī-e-kausar bhī deñge hashr meñ
dast-e-sāqī se ināyat mujh ko paimāna huā
kohr kī qutubeñ haiñ ai mah tirī tasbīh meñ
kaukab-e-sayyāra saañ raushan har ik daana huā
kaun aisā hai jo mujh bekas kī dildārī kare
darpa-e-jāñ dost dushman apnā begāna huā
ḳhuub hī pakḌe ye kāfir bhī balā kī saañp the
panja-e-afsūn-gar kā zulfoñ meñ tirī shāna huā
tum batā do kis jagah rakhe haiñ dil ushshāq ke
DhūñDh lūñgā aap merā dil hī pahchānā huā
sozan-e-īsā ne us ke paañv ke moze siye
panja-e-ḳhurshīd hāzir le ke dastāna huā
chāhtā huuñ apnī zanjīreñ junūñ ke josh meñ
rizq mere vāste zanjīr kā daana huā
dar-ba-dar maarā phirā maiñ justujū-e-yār meñ
zāhid-e-ka.aba huā rahbān-e-but-ḳhāna huā
naam par mujh bāda-kash ke saad chashm-e-mast hai
nāma-e-a.amāl merā ḳhat paimāna huā
mere ghar aayā hai mere sher sunñe ko vo 'mehr'
ġhairat-e-baitushsharaf apnā bhī kāshāna huā
Top Urdushayar.com