garebāñ haath meñ hai paañv meñ sahrā kā dāmāñ hai
bas ab paañv haiñ apne aur sar-e-ḳhār-e-muġhīlāñ hai
havā-e-dasht-e-vahshat ham ko le uḌtī hai bastī se
hamārā unsur-e-ḳhākī magar reg-e-bayābāñ hai
sabaq ko dekhtā huuñ raat bhar aur phir ulajhtā huuñ
mutavval muḳhtasar vo sharh-e-sher-e-zulf-e-pechāñ hai
jalātā hai ye parvānoñ ko vasf-e-sho.ala-rūyāñ se
zabān-e-ḳhāma bhī ab to zabān-e-sham-e-sozāñ hai