Hatim Ali Mehr

sath mein aghyar ke main bhi saf-e-maqtal mein hun

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
saath meñ aġhyār ke maiñ bhī saf-e-maqtal meñ huuñ
sūrat-e-tarkīb-e-mauzūñ misra-e-mohmal meñ huuñ
mujh sā rañgīñ-tab.a hai tīra-darūnoñ meñ ḳharāb
maiñ sharāb-e-arġhavānī huuñ magar botal meñ huuñ
gand-hā-e-nā-tarāshīda haiñ ham sohbat mirī
in dinoñ to maiñ bhī ḳhushbū kī tarah sandal meñ huuñ
aadmī be-his-o-mas maiñ sūrat-e-mardum giyāh
shahr meñ huuñ maiñ ilāhī yā kisī jañgal meñ huuñ
parda-dār-e-girya-e-be-iḳhtiyārī faqr hai
barq hai abr-e-siyah meñ aur maiñ kammal meñ huuñ
hāsil-e-nekī huuñ nekoñ ko badoñ ko bad huuñ 'mehr'
merā hī partav anat meñ hai maiñ hī hanzal meñ huuñ
Top Urdushayar.com