Hatim Ali Mehr

dida-e-jauhar se bina ho gaya

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
dīda-e-jauhar se biinā ho gayā
aa.ina mahv-e-tamāshā ho gayā
dekh kar ā.īna-e-zānū tirā
aa.ina mahv-e-tamāshā ho gayā
ba.ad-e-mojid ālam-e-ījād meñ
aa.ina mahv-e-tamāshā ho gayā
kar diyā hairāñ jise dikhlā.ī shakl
aa.ina mahv-e-tamāshā ho gayā
vo halab pahuñchā to sun lenā ye haal
aa.ina mahv-e-tamāshā ho gayā
pusht-bar-dīvār hai terī huzūr
aa.ina mahv-e-tamāshā ho gayā
sāmne se tere Taltā hī nahīñ
aa.ina mahv-e-tamāshā ho gayā
shāna hai dil chaak mashshāta hai dañg
aa.ina mahv-e-tamāshā ho gayā
dekh kar us rū-e-rañgīñ kī bahār
aa.ina mahv-e-tamāshā ho gayā
tere aage chashm-e-āshiq kī tarah
aa.ina mahv-e-tamāshā ho gayā
'mehr' ko saktā hai yā ai rashk-e-māh
aa.ina mahv-e-tamāshā ho gayā
mahfil-e-ishrat meñ mah-rūyoñ ke 'mehr'
aa.ina mahv-e-tamāshā ho gayā
Top Urdushayar.com