Hatim Ali Mehr

qata ho kar kakul-e-shab-gir aadhi rah gai

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
qat.a ho kar kākul-e-shab-gīr aadhī rah ga.ī
ab to ai saudā.iyo zanjīr aadhī rah ga.ī
saarī botal ab kahāñ aadhī meñ karte haiñ guzar
munsifī se mohtasib ta.azīr aadhī rah ga.ī
shaam kā va.ada kiyā aa.e vo aadhī raat ko
jazba-e-dil kī mire tāsīr aadhī rah ga.ī
Dhal gayā ahd-e-javānī ho gayā āḳhir shabāb
zindagī apnī bhī charḳh-e-pīr aadhī rah ga.ī
ik kashish-e-ishq kamān-e-abrū kī hai terī taḌap
buad meñ jo raah thī do tiir aadhī rah ga.ī
jubba-sā.ī karte karte ghis ga.ī lauh-e-jabīñ
merī qismat kī jo thī tahrīr aadhī rah ga.ī
saarī izzat naukrī se is zamāne meñ hai 'mehr'
jab hue be-kār bas tauqīr aadhī rah ga.ī
Top Urdushayar.com