Hatim Ali Mehr

wo zar hun ki sar pe gulistan uTha liya

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
vo zaar huuñ ki sar pe gulistāñ uThā liyā
vo ḳhaar huuñ ki pahlū-e-gul ko dabā liyā
kyā mujh se chaal chalte vo maiñ bhī huuñ chāliyā
katrā ke chal diye the ki banda ne jā liyā
kyā baat bosa-e-lab-e-jāñ-baḳhsh yaar ke
panje se maut ke mujhe us ne bachā liyā
maiñ jaise naale kartā huuñ un ke ḳhayāl meñ
gaay to is tarah se gavayyā ḳhayāliyā
un kī galī ke kutte se tū muñh kī khā.egā
haDDī kā mere naam jo tū ne humā liyā
tasvīr khīñchtā huuñ sarāpā-e-yār kī
haiñ ālam-e-misāl ki sher-e-misāliyā
uThvā diyā raqīb ko vaañ baiTh baiTh ke
aise jame ki ham ne bhī naqsha jamā liyā
dāġhoñ kī bas dikhā dī divālī meñ raushnī
ham sā na hogā koī jahāñ meñ divāliya
kahne lage murīd ki pahuñche hue haiñ aap
muusā banā vo haath meñ jis ne asā liyā
aise na jeb-katre kahīñ haiñ na gaTh-kaTe
pahlū meñ baiThte hī dil us ne uḌā liyā
aayā shabāb ruup pe husn-o-jamāl hai
is baaġh meñ bahār ne rañg ab jamā liyā
vaa.iz hisāb deñge vahāñ tujh se dāna-zād
ravāq kā hai shukr jo khilvāyā khā liyā
yaad aa ga.ī jo ham ko vo gardan surāhī-dār
shīshe ko mai-kade meñ gale se lagā liyā
lillāh bū-e-gul se na kar mujh ko bad-dimāġh
ḳhushbū uḌā ke un ke badan kī sabā liyā
aate haiñ vo kahīñ se to ai 'mehr' qarz daam
chiknī Dalī ilā.ichī mañgā paan chhāliyā
Top Urdushayar.com