Hatim Ali Mehr

koi le kar KHabar nahin aata

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
koī le kar ḳhabar nahīñ aatā
jo gayā nāma-bar nahīñ aatā
chāñd kis jā nazar nahīñ aatā
yaar kyuuñ mere ghar nahīñ aatā
dam mohabbat kā bhar nahīñ aatā
raaz ifshā to kar nahīñ aatā
ishq kyā jaane zāhid-e-be-maġhz
Dhañg ye umr-bhar nahīñ aatā
panDito pattre meñ dekho to
kyuuñ mirā nāma-bar nahīñ aatā
laala har saal rañg laatā hai
rañg-e-dāġh-e-jigar nahīñ aatā
vo to kahte haiñ sabr kar chande
aur yahāñ sabr kar nahīñ aatā
kabhī pūchho lipaT ke siine se
ab to muñh ko jigar nahīñ aatā
shīsha-e-dil meñ o parī-paikar
hai parī to utar nahīñ aatā
ham bhī bāteñ banāyā karte haiñ
sher kahnā magar nahīñ aatā
ġhuncha gul ho ke un se kahtā hai
kis kā muñh ko jigar nahīñ aatā
rañg laayā nahīñ abhī ronā
abhī laḳht-e-jigar nahīñ aatā
nāsehā kyuuñ na ho ḳhayāl un kā
ḳhvāb to rāt-bhar nahīñ aatā
umr-bhar ik tumhīñ ko pyaar kiyā
dil kahīñ is qadar nahīñ aatā
mere marne kī kyā nahīñ hai ḳhabar
kyuuñ tū ai be-ḳhabar nahīñ aatā
kyuuñ bigaḌiye bane bane na bane
ḳhair bande ko shar nahīñ aatā
zab.h mujh ko anīle-pan ne kiyā
qatl qātil ko kar nahīñ aatā
kūcha-e-yār hai ki jannat hai
jo gayā phir ke ghar nahīñ aatā
yaar koThe pe apne chaḌhtā hai
mah falak se utar nahīñ aatā
jī na chāhe jise maiñ kyā chāhūñ
mujh ko be-maut mar nahīñ aatā
dekh kar un ko jis ko dekhe 'mehr'
koī itnā nazar nahīñ aatā
Top Urdushayar.com