chain pahlū meñ use sub.h nahīñ shaam nahīñ
ek dam bhī dil-e-bīmār ko ārām nahīñ
ruḳh par nuur nahīñ zulf-e-siyah-fām nahīñ
vo zamāna nahīñ vo sub.h nahīñ shaam nahīñ
shahroñ shahroñ mirī rusvā.ī kā shohrā pahuñchā
mujh sā duniyā meñ koī āshiq-e-bad-nām nahīñ
chāñd hī tāroñ kī jhurmuT meñ zarā dekh ai dil
goñ meñ shoḳh-e-nasārā kī ye bū-tām nahīñ
vā.izoñ jaa.e jahannam meñ fazā-e-jannat
ḳhaar haiñ gul merī nazroñ meñ jo gulfām nahīñ
naale kartā huuñ kabhī yā kabhī tadbīr-e-visāl
aur to hijr kī shab meñ mujhe kuchh kaam nahīñ
fasl-e-gul aa.ī to kyā be-sar-o-sāmāñ haiñ ham
shīsha-o-jām nahīñ sāqī-e-gul-fām nahīñ
dil gayā diin gayā jaan ga.ī ulfat meñ
aur āġhāz hī dekhā abhī anjām nahīñ
bose do tiin to le lene dī mujh ko lillāh
kaam ke vaqt na kar o but ḳhud kaam nahīñ
laḳhlaḳha kī evaz us zulf kī bū sūghuñgā
hai tap-e-ishq meñ saudā mujhe sarsām nahīñ
naza.a meñ dekh ke jiitā huuñ tire koThe ko
lab-e-īsā hai ye ai jaan lab-e-bām nahīñ
'mehr' be-lutf hai bazm-e-sho.arā be-ma.ashūq
bulbuleñ chahchahe meñ haiñ koī gulfām nahīñ