Hatim Ali Mehr

dil le gai wo zulf-e-rasa kaam kar gai

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
dil le ga.ī vo zulf-e-rasā kaam kar ga.ī
ka.aba ko Dah ga.ī ye balā kaam kar ga.ī
aayā na yaar maut mirā kaam kar ga.ī
nākām hī rahā maiñ qazā kaam kar ga.ī
zāhid ne bhī namāz ko apnī qazā kiyā
vallāh un butoñ kī adā kaam kar ga.ī
us kī galī meñ ḳhaak hamārī na le chale
apnā kabhī na bād-e-sabā kaam kar ga.ī
zāhid kī aañkh meñ to barahman ke dil meñ hai
tasvīr-e-but bhī nām-e-ḳhudā kaam kar ga.ī
bīmār-e-ishq ko huī sehat visāl se
ai jālīnūs ik ye davā kaam kar ga.ī
naale se apne āh-e-rasā raat baḌh ga.ī
neze se barchhī aur sivā kaam kar ga.ī
vo ab to chheḌ chheḌ ke dete haiñ gāliyāñ
shukr-e-ḳhudā ki apnī duā kaam kar ga.ī
shikva nahīñ hai kuchh malak-ul-maut se mujhe
ik rashk-e-hūr aa ke mirā kaam kar ga.ī
lailā ko ho gayā tirī fariyād kā gumān
ai qais zañg kī bhī sadā kaam kar ga.ī
chhanvā.ī ḳhaak 'mehr'-e-falak-bārgāh ko
chhoTī sī ek chiiz baḌā kaam kar ga.ī
Top Urdushayar.com