Hatim Ali Mehr

poshak-e-siyah mein ruKH-e-jaanan nazar aaya

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
poshak-e-siyah meñ ruḳh-e-jānāñ nazar aayā
shab ko hameñ ḳhurshīd daraḳhshāñ nazar aayā
dekhā na kahīñ kufr na īmāñ nazar aayā
hindū koī paayā na musalmāñ nazar aayā
malbūs-e-siyah meñ ruḳh-e-jānāñ nazar aayā
zulmāt meñ yaañ chashma-e-haivāñ nazar aayā
bāloñ meñ chhupā chehra-e-jānāñ nazar aayā
parda meñ yahāñ kufr ke īmāñ nazar aayā
phir josh-e-junūñ silsila-e-jumbā nazar aayā
phir be-sar-o-sāmānī kā sāmāñ nazar aayā
pariyāñ jise kāñdhe pe uThātī thiiñ hamesha
barbād vo aurañg-e-sulaimāñ nazar aayā
bā.īñ-hama vus.at bhī hai kyā ḳhvān-e-falak-tañg
āsūda na us kā koī mehmāñ nazar aayā
āñkhoñ ke tale phir gayā vo āhū-e-shahrī
jañgal meñ jo āhū-e-bayābāñ nazar aayā
majma.a meñ raqīboñ ke khulā thā tirā joḌā
kal raat ajab ḳhvāb-e-pareshāñ nazar aayā
jis dasht meñ phūTe haiñ mire ābla-pā
kosoñ vahī sarsabz-e-nīstāñ nazar aayā
tā-sāl-e-digar mai ki ḳhurd zinda ki maañd
māh-e-ramzān sāqī-e-daurāñ nazar aayā
dīvāna huuñ par kaam meñ hoshiyār huuñ apne
yūsuf kā ḳhayāl aayā jo zindāñ nazar aayā
shoḳh-e-mizha-e-bargashta kī dekhī nigah-e-qahr
aahū bhī mujhe sher-e-niystāñ nazar aayā
māyūs phirī aatī haiñ kyuuñ merī duā.eñ
kyā bāb-e-ijābat pe bhī darbāñ nazar aayā
maiñ zar-e-mah-e-nau huuñ ki us ne mujhe ai 'mehr'
jab ġhaur se dekhā to kahā haañ nazar aayā
Top Urdushayar.com