Hatim Ali Mehr

chhoDenge gareban ka na ek tar kabhi hum

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
chhoḌeñge garebāñ kā na ik taar kabhī ham
baiTheñge junūñ meñ to na bekār kabhī ham
rahte na ijāzat ke talabgār kabhī ham
hote jo tire tālib-e-dīdār kabhī ham
pahnā.egā ham ko vo gul-e-zaḳhm kī baddhī
pahnā.eñge qātil ko jo ik haar kabhī ham
dīvāna-navāzī hai ki sar ko diye patthar
chhoḌeñge na ab dāman-e-kohsār kabhī ham
vallāh butoñ se nahīñ karne ke mohabbat
rakkheñge na ab rishta-e-zunnār kabhī ham
anqā ho jahāñ se mirī jaañ nām-e-humā bhī
paa.eñ jo tirā sāya-e-dīvār kabhī ham
phāhe to rahe daaġh junūñ par pa-e-jannat
kyā Dar hai jo rakhte nahīñ dastār kabhī ham
tajvīz kiyā kījiyegā yuuñ haiñ sazā.eñ
yā rahm ke bhī hoñge sazā-vār kabhī ham
fursat nahīñ miltī hai ġhazal kahne kī ai mehr
paḌhte haiñ tab is Dhañg ke ash.ār kabhī ham
Top Urdushayar.com