ai 'mehr' jo vaañ naqāb sar kā
taḌkā ho jā.egā sahar kā
allāh re tuul balbe uljhāo
hai zulf kā qissa rāt-bhar kā
maḳhfī kī bayāz bhī to dekheñ
mazmūn to DhūñDhiye kamar kā
bantā to hai ḳhaak se bhī sonā
muhtāj nahīñ faqīr zar kā
dil meñ hai ḳhayāl-e-chehra-e-yār
ham-sāya huuñ aa.ine ke ghar kā
mīThā tere lab kā kiyā hai mujh ko
hai rañg to surḳh is shakar kā