Hatim Ali Mehr

us ka haal-e-kamar khula hamdam

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
us kā hāl-e-kamar khulā hamdam
ham ko mulk-e-adam milā hamdam
hāl-e-dil 'mehr' kā khulā hamdam
dard hamdard-e-dil huā hamdam
vālih-e-kākul-e-rasā hamdam
sar-e-saudā kā ho rahā hamdam
dard ham ko huā davā hamdam
aur lillāh dil dukhā hamdam
dil kā hāsil ho mudda.ā hamdam
rahm kar aa idhar ko aa hamdam
allāh allāh lāla-e-kohsār
gul-e-lauh-e-lahad huā hamdam
mausam-e-gul ho koh-e-sahrā ho
sar ho saudā ho valvalā hamdam
ham ko daura-e-surūr va.ada-e-vasl
daur hogā mudām kā hamdam
hukm ham ko huā ki gul khaao
vaah vaah aur gul khilā hamdam
hogā ma.alūm hāl-e-rūh allāh
la.al-e-dil-dār gar hilā hamdam
allāh allāh āh-e-sard-e-sahar
garm kis kis tarah huā hamdam
kis tarah kā mo.āmla hogā
vasl us kā agar huā hamdam
kis tarah tāle-e-adū ho sa.ad
kis tarah ullū ho humā hamdam
ham ko us la.al kā dikhā aalam
muskurā kar lahū rulā hamdam
dām-e-kākul ho silsila hamdam
gar sar-e-mū girah ho vā hamdam
dil kā vo haal is kā vo aalam
kis kā ho ham ko aasrā hamdam
rakho 'mehr' us ko likkho aur tarah
daur-e-kilk-e-mudām lā hamdam
Top Urdushayar.com