Hatim Ali Mehr

dopahar raat aa chuki hila-bahana ho chuka

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
dopahar raat aa chukī hīla-bahāna ho chukā
aur mastī mil chuke gesū meñ shāna ho chukā
nāvak-e-mizhgāñ kā apnā dil nishāna ho chukā
mar chuke ham maut aane kā bahāna ho chukā
ahd-e-pīrī hai javānī kā zamāna ho chukā
ḳhatm ab mazmūn sher-e-āshiqāna ho chukā
ab ḳhizāñ hai mausam-e-gul kā zamāna ho chukā
ho chukī gul-bāñg bulbul kā tarāna ho chukā
shiir se shīrīñ ko raġhbat thī unheñ hai zauq-e-mai
daur bhī ab aur hai aglā zamāna ho chukā
sāqiyā piirī meñ to shaġhl-e-subūhī hai zarūr
ab bhī pichhlā daur hai aglā zamāna ho chukā
shabnamī par os paḌtī hai jo apnī ziist meñ
to pas-e-murdan lahad par shāmiyāna ho chukā
ham to gard-e-kārvāñ the sab se pīchhe rah ga.e
qāfila reg-e-ravāñ kā bhī ravāna ho chukā
āsmāñ par ta.an-e-buḳhl ahl-e-zamīñ ko hai abas
paanī paanī ho gayā jab daana daana ho chukā
chaT chuke qaid-e-qafas se ab asīrān-e-chaman
ba.ad vīrāne ke ābād āshiyāna ho chukā
āmad-e-fasl-e-bahārī kī ḳhabar laa.ī nasīm
baaġh meñ bulbul kā tayyār āshiyāna ho chukā
kyā ḳhizāñ meñ āb-o-rañg-e-bāġh favvāroñ se ho
sab zar-e-gul luT chukā ḳhālī ḳhazāna ho chukā
vaa.e nādānī ki ab fikr-e-subuk-doshī huī
daftar-e-isyānñ jab apnā bār-e-shāna ho chukā
gil uThā zanjīr se pariyoñ kā dīvāna hai ye
ishq meñ badnām maiñ ḳhāna-ba-ḳhāna ho chukā
gor tak vo saath mayyat ke rahe had ho ga.ī
dushman-e-jāñ se bhī haqq-e-dostāna ho chukā
ham faqīroñ ke bhī ghar laa.ī thī un ko sādgī
ab vo lillāh hai butoñ kā kārḳhāna ho chukā
ḳhvāb-e-ġhaflat 'mehr' kab tak jāgiye uTh baiThiye
sub.h hone aa.ī shab guzrī fasāna ho chukā
Top Urdushayar.com