guzrā apnā pas-e-murdan hī sahī
kūcha-e-yār meñ madfan hī sahī
ḳhair jo rañg nahīñ hai to na ho
teġh khīñcho mirī gardan hī sahī
qabr-e-bulbul pe chalūñ rone ko
aaj gulzār meñ shevan hī sahī
but to vallāh banā leñge kabhī
shor-e-nāqūs barahman hī sahī
josh-e-vahshat hai dilā najd ko chal
sair karne ke liye ban hī sahī
sham.a to yaar chaḌhātā hī nahīñ
dāġh-e-dil qabr meñ raushan hī sahī
haal kuchh mire garebāñ meñ nahīñ
ai junūñ dasht kā dāman hī sahī
koī ham-chashm to ho zindāñ meñ
hairatī dīda-e-rauzan hī sahī
missī mālīda dahan meñ hai kalām
bosa-hā-e-ġhuncha-e-sausan hī sahī
nāsehā us kī burā.ī to na kar
na sahī dost vo dushman hī sahī
gul-ruḳhoñ se to huī qat.a umiid
'mehr' nazzāra-e-gulshan hī sahī