putlī kī evaz huuñ but-e-ra.anā-e-banaras
allāh phir in āñkhoñ ko dikhlā.e banaras
rotā huuñ banaras ke tasavvur meñ shab-o-roz
ai hindūo dekho ye hai dariyā-e-banāras
merī ye vasiyyat se ki mar jā.ūñ agar maiñ
to bād-e-sabā ḳhaak ko pahuñchā.e banaras
hai ka.aba-e-maqsūd faqat kūcha-e-dil-dār
kāfir huuñ jo mujh ko ho tamannā-e-banaras
nāzim ho mohammad kā agar lucknow jā.ūñ
is mulk meñ huuñ ma.adilat-ārā-e-banaras
ka.abe meñ duā māñgūñgā maiñ apne ḳhudā se
yārab but-e-kāfir mujhe bulvā.e banaras
bañgal ko ravāna huuñ raqībān-e-siyah-rū
mere liye ho maskan-e-māvā-e-banāras
maiñ ḳhush huuñ tū ābād rahe varna ilāhī
phir piipe se bārūt ke oḌh jaa.e banaras
jab se mujhe qismat ne banaras se chhuḌāyā
rahtā hai zabāñ par mire bas haa.e banaras
ik gesuoñ vaale kī mohabbat kā paḌā pech
pahle to na thā mujh ko ye saudā-e-banaras
ai 'mehr' tavārud hoñ jo mazmūñ to bajā hai
maiñ aur 'hazīñ' donoñ haiñ shohdā-e-banaras