Hatim Ali Mehr

ba-KHuda hain teri hindu bu-e-mai-KHwar aankhen

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
ba-ḳhudā haiñ tirī hindū bu-e-mai-ḳhvār āñkheñ
nashshe kī Dorī nahīñ pahne haiñ zunnār āñkheñ
chashm-e-āhū se ġharaz thī na mujhe nargis se
terī āñkhoñ se jo miltīñ na ye do-chār āñkheñ
chār-chashm is liye kahtā hai mujhe ik aalam
ki mirī āñkhoñ meñ phirtī haiñ tirī yaar āñkheñ
dekhte rahte haiñ ham raah tumhārī sāhab
aap aate nahīñ aa jaatī haiñ har baar āñkheñ
pyaar se maiñ ne jo dekhā to vo farmāte haiñ
dekhiye dekhiye hotī haiñ gunahgār āñkheñ
chuum lete haiñ vo ā.īne meñ āñkheñ apnī
lab masīhā.ī kareñge ki haiñ bīmār āñkheñ
āgara chhūT gayā 'mehr' to chunnār meñ bhī
DhūñDā kartī haiñ vahī kūcha-o-bāzār āñkheñ
Top Urdushayar.com