Hatim Ali Mehr

na diya bosa-e-lab kha ke qasam bhul gae

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
na diyā bosa-e-lab khā ke qasam bhuul ga.e
de ke aisī mujhe e.ajāz kā dam bhuul ga.e
chashm-o-abrū ko tire dekh ke aatā hai ḳhayāl
tāq-e-kisrā pe yahāñ sāġhar-e-jam bhuul ga.e
ai shah-e-husn ye qalameñ nahīñ aariz pe tire
kātibān-e-ḳhat-e-ruḳhsār qalam bhuul ga.e
vo bhī kyā din the ki āshiq the tumhāre ham bhī
ab to fariyād-o-fuġhāñ dard-o-alam bhuul ga.e
haa.e qismat kā likhā aa.e to qāsid ye kahe
ḳhat tumhāre liye vo kar ke raqam bhuul ga.e
terā gulzār hai kis baaġh kī muulī bulbul
kū-e-jānāñ meñ to ham bāġh-e-iram bhuul ga.e
chashm-e-bad-dūr vo āñkheñ haiñ tumhārī sāhab
dekh kar chaukḌī āhū-e-haram bhuul ga.e
aap kā dost hai ye apnī baġhal kā dushman
yaad dilvā.e vahīñ dil ne jo ham bhuul ga.e
zā.iqa maut kā bas yaad dilā detā hai
kyā qayāmat hai ye kahnā tirā ham bhuul ga.e
mirzā mahr-e-mohabbat tumheñ phir yaad aa.ī
dil pe guzrī thī jo kuchh rañj-o-alam bhuul ga.e
rah gayā yaad tumheñ jaur-o-jafā zulm-o-sitam
lutf-o-altāf-o-ināyāt-o-karam bhuul ga.e
ka.aba-e-dil meñ bas ab rahtī hai allāh kī yaad
rāsta dair kā ham shakl-e-sanam bhuul ga.e
yaad rahtī hai faqat ham ko tire kūcha kī
vā.izoñ se sunā hāl-e-iram bhuul ga.e
yaad rakhne kī ye bāteñ haiñ bajā hai sach hai
aap bhūle na hameñ aap ko ham bhuul ga.e
dil se dil ko hai agar raah to hai yaad se yaad
tum hameñ bhuul ga.e tum ko bhī ham bhuul ga.e
bas hamāre hī liye aap ko nisyāñ bhī hai
kabhī ġhairoñ ko na sāhab koī dam bhuul ga.e
kūcha-e-zulf meñ yā halqa-e-gesū meñ tire
yaad aatā hai yahīñ dil kahīñ ham bhuul ga.e
sher-e-hindī jo sune 'mehr' jigar tafta ke
apnā andāz-e-fasīhān-e-ajam bhuul ga.e
Top Urdushayar.com