Hatim Ali Mehr

ishq-e-jaan-e-jahan nasib hua

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
ishq-e-jān-e-jahāñ nasīb huā
ik zamāna mirā raqīb huā
mar ga.e ham masīh ke dam meñ
ye bhī ik vāqi.a ajiib huā
un se kah do ki aap par āshiq
bekas-o-be-vatan ġharīb huā
na sune naale kyā kisī gul ne
tujh ko kyā rañj andalīb huā
paas ādāb-e-husn-e-yār rahā
ishq mere liye adiib huā
jab nakīrain ne savāl kiye
yā-alī kah ke maiñ mujib huā
merā sar hogā aur un ke paañv
yāvar apnā agar nasīb huā
jab huā qabr meñ savāl ai 'mehr'
yā-alī kah ke maiñ mujīb huā
Top Urdushayar.com