jo mehñdī kā buTnā malā kījiyegā
pasīne ko itr-e-hinā kījiyegā
sitam kījiyegā jafā kījiyegā
yahī hogā aur aap kyā kījiyegā
phaḌak kar nikal jā.egā dam hamārā
qafas se jo ham ko rihā kījiyegā
jo kahtā huuñ achchhā nahīñ zulm karnā
to kahte haiñ vo aap kyā kījiyegā
qayāmat meñ dīdār kā kab yaqīñ hai
yūñhī lan-tarānī sunā kījiyegā
kahā hāl-e-dil to vo ye kah ke uTThe
maiñ jaatā huuñ baiThe bakā kījiyegā
shahanshāh kahte haiñ un ke gadā se
hamāre liye bhī duā kījiyegā
guloñ kā vahī pairahan hogā sāhab
ināyat jo apnī qabā kījiyegā
kināra bhalā tum se ai bahr-e-ḳhūbī
Dubone hī ko āshnā kījiyegā
munajjim ne haath un ke dekhe to bolā
guloñ kī qabā ko qabā kījiyegā
mirī jaan ke mudda.ī aap hoñge
samā.at agar mudda.ā kījiyegā
bahut nāz-parvarda hai dil hamārā
zarā lutf is par kiyā kījiyegā
na dīvāna bante jo ma.alūm hotā
parī ban ke ham se uḌā kījiyegā
buto barq haiñ dard-mandoñ kī aaheñ
ḳhudā ke ġhazab se Darā kījiyegā
bahut faiz baḳhshī kā sunte haiñ shohrā
hamārī bhī hājat ravā kījiyegā
ḳhudā ke liye mīrzā-'mehr'-sāhab
butoñ par kahāñ tak miTā kījiyegā