Hatim Ali Mehr

buton ka zikr kar waiz KHuda ko kis ne dekha hai

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
butoñ kā zikr kar vaa.iz ḳhudā ko kis ne dekhā hai
sharār-e-sañg muusā ke liye barq-e-tajallā hai
ye hindustān hai yaañ par butoñ kā roz mela hai
ḳhudā jaane vo but ai 'mehr' devī hai ki durgā hai
tasavvur us sanam kā hai hameñ ka.abe se kyā matlab
charāġh apnā hai dāġh-e-dil hai jo mandir meñ jaltā hai
judā hai ne.mat-e-duniyā se lazzat bosa-e-lab kī
vo jogī ho gayā jis ne ye mohan bhog chakkhā hai
batā jaa.ez hai kis maz.hab meñ ḳhūn-e-be-gunāh zālim
tū hindū hai musalmāñ hai yahūdī hai ki tarsā hai
kiyā kāfir ne kāfir 'mehr' se mard-e-musalmāñ ko
jane.ū rishta-e-tasbīh dāġh-e-sajda Tiika hai
Top Urdushayar.com