Hatim Ali Mehr

buton ka zikr karo waiz KHuda ko kis ne dekha hai

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
butoñ kā zikr karo vaa.iz ḳhudā ko kis ne dekhā hai
sharār-e-sañg-e-mūsā ke liye barq-e-tajallā hai
ye hindostān hai yaañ parbatoñ kā roz melā hai
ḳhudā jaane vo but ai 'mehr' debī hai ki durgā hai
ye hindostān hai yaañ parbatoñ kā roz melā hai
koī kālī-bhavānī koī debī koī durgā hai
butān-e-hind meñ nām-e-ḳhudā kab koī tujh sā hai
tirī zulfeñ haiñ kaalī ai sanam tū aap durgā hai
dil-e-nālāñ tumhāre halqa-e-gesū meñ kahtā hai
maiñ hindostān meñ huuñ kāfiroñ ne mujh ko gherā hai
ye kis kāfir kī ḳhātir 'mehr' chakkar meñ tū rahtā hai
ye kis ke vāste gardish falak ke charḳh puujā hai
siyah rūmāl gorī gorī gardan meñ lapeTā hai
gale milvā diyā shām-e-sahar ko kyā tamāshā hai
galā vo gorā gorā us pe ik rūmāl kaalā hai
vahī aalam mirī āñkhoñ meñ ab din-rāt phirtā hai
tasavvur us sanam kā hai hameñ ka.abe se kyā matlab
charāġh apnā hai dāġh-e-dil hai jo mandir meñ jaltā hai
kiyā hai ḳhuuñ mire dil kā balidān is ko kahte haiñ
ġham-e-furqat vo kāfir hai ki durgā paaTh kartā hai
judā hai ne.mat-e-duniyā se lazzat bosa-e-lab kī
vo jogī ho gayā jis ne ye mohan-bhog chakkhā hai
sharārat se sharārat hai buto lillāh baaz aao
jalāte ho jo mere dil ko tum kyā ye bhī lanka hai
halāl us ne kiyā ḳhūn-e-musalmāñ vaa.e bedardī
tirā dast-e-hinā.ī kāfir ab ye rañg laayā hai
hamesha hai ye nālāñ us sanam kī yaad meñ yārab
jase ham dil samajhte the vo nāqūs-e-kalīsā hai
baḌā andher hai kyūñkar na ho dil ko pareshānī
sarāsar pech kartī hai balā zulf-e-chalīpā hai
ajab aalam nazar aayā tire kūcha meñ o qātil
kahīñ koī sisaktā hai kahīñ koī taḌaptā hai
kahāñ vo qad kahāñ ye kunda-hā-e-nā-tarāshīda
na sarv aisā hai ne shamshād aisā hai na tuubā hai
batā jaa.ez hai kis maz.hab meñ ḳhūn-e-be-gunah zālim
tū hindū hai musalmāñ hai yahūdī hai ki tarsā hai
sune murda to jī uTThe badan meñ ruuh phir aa.e
gale meñ ai sanam nām-e-ḳhudā kyā taan palTā hai
ḳhudā aalam hai mazmūn-e-ḳhayālī haiñ tasavvur meñ
na mujh ko kuchh ta.alluq hai na merī us ko parvā hai
ḳhudā jaane kiyā kis but ne kāfir ik musalmāñ ko
janev hai gale meñ 'mehr' ke māthe pe Tiikā hai
kiyā kāfir ne kāfir 'mehr' se mard-e-musalmāñ ko
janev rishta-e-tasbīh dāġh-e-sajda Tiikā hai
Top Urdushayar.com