Hatim Ali Mehr

karte hain shauq-e-did mein baaten hawa se hum

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
karte haiñ shauq-e-dīd meñ bāteñ havā se ham
jaate haiñ kū-e-yār meñ pahle sabā se ham
pīchhe kahīñ rahe nahīñ āh-e-rasā se ham
jaate haiñ kū-e-yār meñ pahle sabā se ham
iizā kī apnī fikr kareñge davā se ham
DhūñDeñge koī maut kā nusḳha shifā se ham
zāhid burā na māneñge is bad-duā se ham
hoñ but-parast chāhte haiñ ye ḳhudā se ham
uljheñge ek baar to zulf-e-dotā se ham
saudā.ī huuñ saḌī huuñ tumhārī balā se ham
teġh-e-nigah na tīr-e-mizha ne kiyā halāk
haañ mar ga.e haiñ aap hī apnī qazā se ham
nā-qadr se hī qadr kī ummīd hai abas
o be-vafā ḳhajil hue apnī vafā se ham
ghar jā ke un ke rog lagā laa.e ishq kā
bīmār ho ke aa.e haiñ dārushshifā se ham
āb-e-hayāt ḳhizr-o-sikandar ko chāhiye
saaqī faqat sharāb ke haiñ ik piyā se ham
bole masīh dekh ke bīmār-e-ishq ko
majbūr haiñ isī maraz-e-lā-davā se ham
jhelī huī haiñ ishq meñ lākhoñ musībateñ
Darte nahīñ hai aap ke jaur-o-jafā se ham
ghar meñ huzūr ke hameñ sonā nasīb ho
aa.e haiñ maal mārne daulat-sarā se ham
gulzār hai shahīdoñ kā jannat kā ham-savād
jā.eñge to na ā.eñge phir karbalā se ham
qismat kā apnī pech huā gesūoñ kā pech
badleñ siyāh tāle-e-zill-e-humā se ham
dil meñ tire asar na huā arsh hil gayā
nādim haiñ nā-rasā.ī-e-āh-e-rasā se ham
achchhā huā na dafn huī na.ash ba.ad-e-marg
kyā musht-e-ustuḳhvāñ ko chhupāte humā se ham
sote nahīñ haiñ raat ko bhī ham to chain se
karte haiñ 'mehr' uns jo ik mah-laqā se ham
Top Urdushayar.com