nāla-e-garm ke aur dam sard bhare kyā ji.eñ ham to mare
ham-safīrān-e-chaman rā ki rasānd ḳhabre az man-e-nauha-gare
fasl-e-gul aa.ī ye aur meñ huuñ giraftār-e-qafas kuchh bhī chaltā nahīñ bas
ham-safīrān-e-chaman rā ki rasānd ḳhabre az man-e-nauha-gare
phañs ga.e daam meñ sayyād ke shāyad bulbul roz suntā huuñ ye ġhul
ham-safīrān-e-chaman rā ki rasānd ḳhabre az man-e-nauha-gare
maiñ huuñ sayyād hai aur shor-o-fuġhān-o-faryād koī detā nahīñ daad
ham-safīrān-e-chaman rā ki rasānd ḳhabre az man-e-nauha-gare
bhuul kar kunj-e-qafas tak kabhī aa.e na sabā na sunānā naala merā
ham-safīrān-e-chaman rā ki rasānd ḳhabre az man-e-nauha-gare
koī qātil maiñ rahī 'mehr' se kitnī hī shahīd maiñ huuñ aur qaid-e-shadīd