zikr-e-jānāñ kar jo tujh se ho sake
vaa.iz ehsāñ kar jo tujh se ho sake
rāz-e-dil zāhir na ho ai dūd-e-āh
daaġh pinhāñ kar jo tujh se ho sake
phūñktā hai mujh ko ye soz-e-darūñ
chashm-e-giryāñ kar jo tujh se ho sake
ai masīhā mujh ko hai āzār-e-ishq
merā darmāñ kar jo tujh se ho sake
qais ko rotā huuñ ai dasht-e-junūñ
fikr-e-dāmāñ kar jo tujh se ho sake
chup hai kyuuñ o but ḳhudā kī vāste
kuchh to hūñ-hāñ kar jo tujh se ho sake
dil to us pe aaj sadqe ho gayā
tū bhī ai jaañ kar jo tujh se ho sake
lā muġhal kī teġh-e-abrū kā javāb
azm-e-safahāñ kar jo tujh se ho sake
rāz-poshī merī dūd-e-āh kī
dūd-e-qulyāñ kar jo tujh se ho sake
khet dikhlā mujh ko ai shamshīr-e-yār
kār-e-dahqāñ kar jo tujh se ho sake
ḳhirman-e-māh-e-daraḳhshāñ ko uḌā
kār-e-dahqāñ kar jo tujh se ho sake
tā-ba-kai yād-e-ruḳh-e-jānāñ dilā
hifz qur.āñ kar jo tujh se ho sake
vo parī merī musaḳhḳhar ho ye kaam
ai sulaimāñ kar jo tujh se ho sake
ek din dīvār hī phā.duñgā maiñ
ḳhair darbāñ kar jo tujh se ho sake
yuuñ hī zāhir ho shab-e-furqat kī sub.h
daaġh pinhāñ kar jo tujh se ho sake
ai firañgan ḳhāna-e-vīrāñ mirā
inglistāñ kar jo tujh se ho sake
kar mirā ghar faiz-e-maqaddam se bahisht
mujh ko rizvāñ kar jo tujh se ho sake
jhiḌkiyāñ dī gāliyāñ dī dil dukhā
ai mirī jaañ kar jo tujh se ho sake
naza.a meñ to jaa.e sharb-e-mai pilā
saaqī ehsāñ ki jo tujh se ho sake
tū hī turbat par mirī chādar chaḌhā
māh-e-tābāñ kar jo tujh se ho sake
ai dil-e-nālāñ kahāñ tak shor-o-ġhul
zabt-e-afġhāñ kar jo tujh se ho sake
'mehr' yuuñ fikr-e-pareshāñ tā-ba-kai
jam.a dīvāñ kar jo tujh se ho sake