Hatim Ali Mehr

ba-KHuda hain teri hindu but mai-KHwar aankhen

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
ba-ḳhudā haiñ terī hindū but mai-ḳhvār āñkheñ
nashshe kī Dorī nahīñ pahneñ haiñ zunnār āñkheñ
nazr-e-dil māñgtī haiñ aap kī sarshār āñkheñ
ain mastī meñ rahā kartī haiñ hoshiyār āñkheñ
mujh ko nazzāra hai is parda-nashīñ kā manzūr
kaash ban jaa.eñ mirī rauzan-e-dīvār āñkheñ
chashm-e-āhū se ġharaz thī na mujhe nargis se
tirī āñkhoñ se jo miltīñ na ye do-chār āñkheñ
chār-chashm is liye kahtā hai mujhe ik aalam
ki mirī āñkhoñ meñ phirtī haiñ tirī yaar āñkheñ
dekhte rahte haiñ ham raah tumhārī sāhab
aap aate nahīñ aa jaatī haiñ har baar āñkheñ
shoḳh-chashmī se chakāroñ ko vo dhamkātī haiñ
dekhnā ham se milānā na ḳhabar-dār āñkheñ
taak lete haiñ nazar-bāz haiñ ham bhī sāhab
dil churāyā hai churāte ho jo har baar āñkheñ
pyaar se maiñ ne jo dekhā to vo farmāte haiñ
dekhiye dekhiye hotī haiñ gunahgār āñkheñ
chuum lete haiñ vo ā.īne meñ āñkheñ apnī
lab masīhā.ī kareñge ki haiñ bīmār āñkheñ
chashm-e-baddūr hai kājal bhī to manzūr-e-nazar
kyuuñ nazar ho ga.ī kyuuñ ho ga.iiñ bīmār āñkheñ
ruḳh-e-sayyād jo dekhā hai to ab dekh ke gul
band kar lete haiñ murġhān-e-giraftār āñkheñ
ban ga.e panja-e-mizhgāñ bhī mirī dast-e-duā
dekh rakhtī haiñ na kuchh hasrat-e-dīdār āñkheñ
dast-e-vahshat meñ ġhazāloñ ko takā kartā huuñ
rāt-din pesh-e-nazar haiñ tirī ai yaar āñkheñ
ye mirā dāman-e-tar dāman-e-gulchīñ hogā
rañg lā.eñgī abhī to mirī ḳhūñ-bār āñkheñ
murġh-e-dil us se kisī tarah nahīñ bach saktā
kahīñ shāhīn shikārī sī haiñ tayyār āñkheñ
chashm-e-maḳhmūr meñ saaqī kī ye kaifiyyat hai
nashsha mastoñ ke do-bālā hoñ jo hoñ chār-āñkheñ
chāhiye hazrat-e-mūsā ke liye jalva-e-tūr
tere dīdār kī haiñ apnī sazā-vār āñkheñ
āgara chhūT gayā 'mehr' to chunnār meñ bhī
DhūñDhā kartī haiñ vahī kūcha-o-bāzār āñkheñ
Top Urdushayar.com