Hatim Ali Mehr

buton ka samna hai aur main hun

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
butoñ kā sāmnā hai aur maiñ huuñ
ḳhudā kā aasrā hai aur maiñ huuñ
yahāñ aa kar kareñ kyā yās-o-umīd
dil-e-be-mudda.ā hai aur maiñ huuñ
milā jo ḳhaak meñ qadmoñ se chhuT ke
vo terā naqsh-e-pā hai aur maiñ huuñ
ḳhudā jaane buto hotā hai kyā haal
yahī gar dil mirā hai aur maiñ huuñ
zarā aane to de roz-e-qayāmat
sanam tū hai ḳhudā hai aur maiñ huuñ
sitam hai zulm hai un kī taraf se
mohabbat hai vafā hai aur maiñ huuñ
pasand ai 'mehr' hai ye qaul-e-ustād
sanam kūcha tirā hai aur maiñ huuñ
Top Urdushayar.com