mere hī dil ke satāne ko ġham aayā sīdhā
rāsta dekh liyā hai mire ghar kā sīdhā
ek sūrat kabhī tāle.a kī na dekhī ham ne
ḳhat-e-taqdīr likhā hai ajab ulTā-sīdhā
sīdhī sīdhī hameñ har-vaqt sunā baiThte ho
naam sun paayā hai sāhab ne hamārā sīdhā
TeḌhī bāñke hue us shoḳh ke aage sīdhe
kyā hī kaj-fahm hai vo jo use samjhā sīdhā
ishq-e-pechāñ ko kiyā ham ne jo āḌā-tirchhā
sarv ko yaar ne gulshan meñ banāyā sīdhā
ḳhat ke aane pe bhī TeḌhā hī rahā vo ham se
ḳhizr ne bhī hameñ rasta na batāyā sīdhā
'mehr' vallāh maiñ qātil huuñ tirī bātoñ kā
ḳhuub andāz-e-suḳhan hai tirā sīdhā sīdhā