ġhair hañste haiñ faqat is liye Tal jaatā huuñ
maiñ bayābānoñ meñ rone ko nikal jaatā huuñ
josh vahshat kā huā mausam-e-gul aa pahuñchā
kuchh dinoñ hosh meñ rahtā huuñ sambhal jaatā huuñ
apnī ruḳhsat hai butoñ se bhī ab inshā-allāh
dair se sū-e-haram aaj hī kal jaatā huuñ
kūcha-e-qātil-e-be-rahm jise kahte haiñ
maiñ vahāñ dauḌ ke mushtāq-e-ajal jaatā huuñ
jab nikalne nahīñ dete haiñ mujhe zindāñ se
apne aape se maiñ nā-chār nikal jaatā huuñ
ġhair albatta tire paañv meñ malte haiñ hinā
maiñ to aa kar kaf-e-afsos hī mal jaatā huuñ
maiñ jo rotā huuñ to kahtā hai na kar bad-shagunī
baat kahtā hai vo aisī ki dahal jaatā huuñ
dost hotā hai to hotā hai vo dushman ai 'mehr'
vo badal jaatā hai yā kuchh maiñ badal jaatā huuñ