ajab hai 'mehr' se us shoḳh kī visāl kā vaqt
vo dopahar ki jo maḳhsūs hai zavāl kā vaqt
mirī to ḳhaak bhī tere qadam na chhoḌegī
zarā tū aane to de apne pā.emāl kā vaqt
chaman kī sair hai bulbul paḌe chahaktī haiñ
hamāre aap ke bhī hai ye bol-chāl kā vaqt
karo na zikr raqīboñ kā mujh se raag na laao
ḳhatā muaaf nahīñ hai ye us ḳhayāl kā vaqt
ab un kī chaal qayāmat hai kyuuñ na dil pis jaa.e
abhī guzar gayā kabk-e-darī kī chaal kā vaqt
masal hai aañkh bachī maal dostoñ kā huā
zamāna daulat-e-duniyā kā hai ḳhayāl kā vaqt
kahāñ ye nok-palak phir kahāñ ye husn-e-shabāb
idhar ko dekho yahī to hai dekh-bhāl kā vaqt
duā.eñ deñge unheñ ye faqīr kambal-posh
ilāhī duur do-shāle kā hove shaal kā vaqt