Hatim Ali Mehr

kucha mein jo us shoKH-hasin ke na rahenge

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
kūcha meñ jo us shoḳh-hasīñ ke na raheñge
to dair-o-haram kyā hai kahīñ ke na raheñge
nazdīk kabhī ḳhuld-e-barīñ ke na raheñge
ham-sāya bhī ab ham to hasīñ ke na raheñge
maiñ said huuñ vahshī mujhe fitrākī kahalvā
do taar bhī ab dāman-e-zehn ke na raheñge
par vaa.e vasīla ho sulaimāñ ko mubārak
ham naam ko muhtāj nagīñ ke na raheñge
mar jā.eñge iz.hār-e-tamannā hī se pahle
sunñe ko tire muñh se nahīñ ke na raheñge
mirzā munshī apnī gorā na kareñge
sunñe ko qisas-e-chīn-e-jabīñ ke na raheñge
sun leñge jo mujh ġham-zada ke nāla-e-mauzūñ
mushtāq vo dīvān-e-hazīñ ke na raheñge
darvāza kā parda to rahe kaan kā parda
ham rū-ba-rū us parda-nashīñ ke na raheñge
allāh ne chāhā to ham ai barhamn-e-dair
mushtāq kisī lobat-e-chīñ ke na raheñge
ruḳhsār se tashbīh tirī deñge ham ai jaan
jab daaġh ruḳh-e-māh-e-mubīñ ke na raheñge
oḌhte hue ye tā.ir-e-rañg apnā jo dekhā
to hosh bajā rūh-e-amīñ ke na raheñge
kis dard kī āvāz se chillā.ī hai bulbul
ham paas to us murġh-e-hazīñ ke na raheñge
dekheñge jo us but ko to vallāh yaqīñ hai
īmān bajā ahl-e-yaqīñ ke na raheñge
pāband rahe kaun yahāñ naam kī ḳhātir
halqa meñ kabhī misl nagīñ ke na raheñge
ham DhūñDte phirte haiñ tujhe dair-o-haram meñ
gar hai ye tamannā to kahīñ ke na raheñge
pāband hue shakl-e-asīr ab to yahāñ 'mehr'
aisā hī jo dil hai to kahīñ ke na raheñge
Top Urdushayar.com