us zulf ke saude kā ḳhalal jaa.e to achchhā
us pech se dil apnā nikal jaa.e to achchhā
shatranj meñ jī un kā bahal jaa.e to achchhā
ai 'mehr' ye chaal achchhī hai chal jaa.e to achchhā
is ziist se ab maut badal jaa.e to achchhā
bechain hai dil jaan nikal jaa.e to achchhā
mahrūm huuñ is daur meñ saaqī faqat ik maiñ
ai kaash ḳhum-e-bāda ubal jaa.e to achchhā
ḳham Thoñk ke kartā hai ye ab beach bulā ke
is tarah ke tarrār kā bal jaa.e to achchhā
is ishq meñ phir jaan ke paḌ jā.eñge laale
ab bhī dil-e-betāb sambhal jaa.e to achchhā
chhū jaa.e jo bande kī sivā jism se tere
allāh kare haath vo gul jaa.e to achchhā
kyā ishq sā hai ishq mohabbat sī mohabbat
badlūñgā maiñ is dil ko badal jaa.e to achchhā
mumkin hī nahīñ hai ki bache jaan salāmat
us kūche meñ mushtāq-e-ajal jaa.e to achchhā
bosoñ meñ mazā qand-e-mukarrar kā ho saaqī
ik daur dobāra kā bhī Dhal jaa.e to achchhā
ab zauq kī mānind ġham-e-ishq jigar meñ
kāñTā sā khaTaktā hai nikal jaa.e to achchhā
rañgīnī-e-fikr aur merī raushnī-e-tama.a
kuchh la.al-o-gohar aur ugal jaa.e to achchhā
ahbāb-e-banaras ke liye 'mehr' kā tohfa
ek aur bhī saath us ke ġhazal jaa.e to achchhā