Hatim Ali Mehr

is daur mein har ek tah-e-charKH-e-kuhan luTa

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
is daur meñ har ik tah-e-charḳh-e-kuhan luTā
auroñ kā zar luTā mirā naqd-e-suḳhan luTā
ḳhalvat-nashīñ ho to dil-e-āshiq meñ kar jagah
yuuñ daulat-e-jamāl na ai sīm-tan luTā
bulbul ko kaisī kaisī huiiñ āfateñ nasīb
gulchīñ ke dast-e-zulm se kyā kyā chaman luTā
fariyād tak ḳhudā se na kī ai sanam tirī
maiñ be-zabāñ tire yahāñ ai be-dahan luTā
nabbash kī jafā.eñ huiiñ ham pe ba.ad-e-marg
ai āsmān zer-e-zamīñ bhī kafan luTā
jhoñke chale havā ke pareshāñ huī vo zulf
ḳhushbū tamām phailī hai mushk-e-ḳhutan luTā
'hātim' vo huuñ ki ba.ad-e-fanā dil ko duuñ salāh
ab qabr meñ bhī ḳhaak uḌāyā kafan luTā
be-dil suḳhan huuñ 'mehr' paḌhūñ sinn-e-īsavī
auroñ kā zar luTā mirā naqd-e-suḳhan luTā
Top Urdushayar.com