Hatim Ali Mehr

saqi hai na mai hai na daf-o-chang hai holi

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
saaqī hai na mai hai na daf-o-chañg hai holī
kyā haal hai imsāl ye kyā rañg hai holī
aa.ī hai jo furqat meñ mirā ḳhuun karegī
ye bhī tire aane kā koī Dhañg hai holī
ham ḳhaak uḌāte haiñ dholenDī hai yahāñ par
ham tak nahīñ aatī kabhī kyā lañg hai holī
sau baar jalātā huuñ maiñ ik aah se dam meñ
aa kar mire vīrāne meñ kyā tañg hai holī
niklā mah-e-naḳhshab ki girā chaah meñ yūsuf
yā hauz ke andar mah-e-gul-rañg hai holī
pichkārī agar ḳhāma hai to rañg siyāhī
rañgīnī-e-mazmūñ se mire dañg hai holī
har but evaz-e-qumquma dil maañg rahā hai
is saal kī vallāh ki be-rañg hai holī
ai 'mehr' tire gird haiñ mah-rū kiye tasvīr
fānūs-e-ḳhayālī hai ki arzhañg hai holī
Top Urdushayar.com