Hatim Ali Mehr

aaftab ab nahin nikalne ka

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
āftāb ab nahīñ nikalne kā
daur aayā sharāb Dhalne kā
saañp kahte haiñ zulf ko shā.ir
kaam karte haiñ muñh kuchalne kā
laakh ham chiknī-chupḌī baat kareñ
un kā dil ab nahīñ phisalne kā
sifat-e-lab meñ sher kahte haiñ
ab irāda hai la.al ugalne kā
kūTte haiñ jo apnā ham siina
hai evaz chhātiyāñ masalne kā
kyuuñ na har tarz meñ ho baat na.ī
paañ hai qaabū zabāñ badalne kā
ek bose kī bhī jamā.e ab
qasd hai un ko missī malne kā
naḳhl-e-mātam ke saa.e meñ na Thahar
hai musāfir jo qasd chalne kā
chashm-poshī se tifl-e-ashk apnā
Dhañg sīkhā hai ab machalne kā
hifz-e-tīr-e-nigah hai ain ḳhatā
nahīñ paiġhām maut Talne kā
ham bhī khelā kareñge jaan par ab
shaġhl achchhā hai dil bahalne kā
'mehr' hirbā se dostī tā-chand
ġham nahīñ rañg ke badalne kā
Top Urdushayar.com