shaam se pahle tirī shaam na hone dūñgā
zindagī maiñ tujhe nākām na hone dūñgā
uḌte uḌte hī bikhar jaa.eñ par-o-bāl ai kaash
tā.ir-e-jāñ ko tah-e-dām na hone dūñgā
bevafā logoñ meñ rahnā tirī qismat hī sahī
in meñ shāmil maiñ tirā naam na hone dūñgā
kal bhī chāhā thā tujhe aaj bhī chāhā hai ki hai
ye ḳhayāl aisā jise ḳhaam na hone dūñgā
lagne dūñgā na havā tujh ko ḳhizāñ kī maiñ 'zafar'
phuul jaisā tirā anjām na hone dūñgā