Hatim Ali Mehr

rang-e-sohbat badalte jate hain

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
rañg-e-sohbat badalte jaate haiñ
saath ke yaar chalte jaate haiñ
jin kī karte ho tum masīhā.ī
vo marīz ab sambhalte jaate haiñ
dil meñ hone lagā huzūr kā ghar
aap sāñche meñ Dhalte jaate haiñ
zulf ulajhte hai un ke bāloñ se
saañp kā sar kuchalte jaate haiñ
shā.eq-e-qatl kū-e-qātil meñ
kūdte aur uchhalte jaate haiñ
dekhte haiñ vo apnā joban aap
ab to kuchh kuchh sambhalte jaate haiñ
ham to rote udhar se aate haiñ
aap idhar se machalte jaate haiñ
'mehr' so.e the kis ke saath ki sub.h
ThanDe ThanDe bhī jalte jaate haiñ
Top Urdushayar.com