Hatim Ali Mehr

kaba-o-but-KHana walon se juda baiThe hain hum

Hatim Ali Mehr

Aligarh, Uttar pradesh, India

1815-1879
ka.aba-o-but-ḳhāna vāloñ se judā baiThe haiñ ham
ik but-e-nā-āshnā se dil lagā baiThe haiñ ham
aap se apne ko dīvāna banā baiThe haiñ ham
kū-e-jānāñ chhoḌ ke jañgal meñ aa baiThe haiñ ham
kyuuñ mukaddar kar diyā nāzuk-mizājoñ kā mizāj
kūcha-e-jānāñ se chal jā ai sabā baiThe haiñ ham
ye duā ka.aba meñ karte haiñ ki us but se milā
tere darvāza par aa kar ai ḳhudā baiThe haiñ ham
vo to kahte haiñ ki uTh jaa.eñ mere kūcha se aap
haa.e kitnī ho ga.ī haiñ be-hayā baiThe haiñ ham
sargirānī hai abas ham ḳhāksāroñ se tumheñ
yā to miTne ko basān-e-naqsh-e-pā baiThe haiñ ham
apnā bātin ḳhuub hai zāhir se bhī ai jān-e-jāñ
aañkh ke laḌne se pahle jī laḌā baiThe haiñ ham
maiñ to kahtā huuñ ki bazm-e-ġhair hai yaañ se uTho
aur vo kahte haiñ mujh se tujh ko kyā baiThe haiñ ham
yā hameñ uThvā diyā yā uTh ga.e haiñ aap vo
gar kabhī majlis meñ bhī paas un ke jā baiThe haiñ ham
bazm-e-tasvīr apnī sohbat ho ga.ī hai in dinoñ
āshnā din meñ bhī ab nā-āshnā baiThe haiñ ham
paḌ gayā hai haath jab añgiyā pe us ḳhush-gāt kī
sūrat-e-shahbāz chiḌiyā ko dabā baiThe haiñ ham
guhar se uThne kī nahīñ bāhar nahīñ rakhne ke paaoñ
yaar ke sar kī qasam ai 'mehr' khā baiThe haiñ ham
Top Urdushayar.com