Khalid Khwaja

jidhar bhi jaun yahi silsila nikalta hai

Khalid Khwaja

jidhar bhī jā.ūñ yahī silsila nikaltā hai
tumhāre ghar kī taraf rāsta nikaltā hai
maiñ ek umr se un dā.eroñ kā qaidī huuñ
qadam jahāñ bhī rakhūñ dā.era nikaltā hai
maiñ āzmāne chalā huuñ jahāñ pe jins-e-ḳhulūs
nazar nazar se vahāñ zahr sā nikaltā hai
jo shaḳhs jaan se pyārā ho shaiḳh sāhab ko
qasam ḳhudā kī vahī dahriyā nikaltā hai
tumhāre shahr meñ kyā kar rahe haiñ mere log
galī galī se mirā āshnā nikaltā hai
vahī to shahr hai 'ḳhālid' naqāb-poshoñ kā
har āstīñ se jahāñ aa.ina nikaltā hai
Top Urdushayar.com