chal maan liyā sāhab-e-kirdār nahīñ huuñ
par terī tarah hāzir-e-darbār nahīñ huuñ
dushman hai musāfir to use saaf batā do
dīvār huuñ maiñ sāya-e-dīvār nahīñ huuñ
atrāf meñ har chiiz kā idrāk hai mujh ko
ḳhvāboñ meñ ghirā dīda-e-bedār nahīñ huuñ
ḳhāmosh hī rahnā hai mire vāste behtar
maiñ aap kā pairāya-e-iz.hār nahīñ huuñ
ab to hadaf-e-sañg-e-malāmat na banāo
ab to maiñ sar-e-kūcha-e-dildār nahīñ huuñ
dil toḌne vaale ko ḳhabar ho ki abhī maiñ
sar-tā-ba-qadam ik dil-e-bīmār nahīñ huuñ